Thursday, October 17, 2013

Dard bhare SMS in Hindi

Chand chamka na mere saath savera nikla
Raat ki oot se beemar andhera nikla

Phir mere dil pe udaasi ne kia hai qabza
Phir teri aaas ke haaton se basera nikla

Teri tasveer pe rakhi thi na jane kab se
Main ne jab aankh othai tu sitara nikla

Aag guldaan mein titli ke paroon tak pohanchi
Ya kisi phool ke haathon se sharara nikla

Zindagi, dard, saraboon ke safar, dukh abaad
Mere ghar mein tha jo samaan tumhara nikla

Oss ne palkoon ko jhukaya tu hoi shaam tamam
Oss ke zulfoon ko hatate hi savera nikla

Phir wohi subh e bala khaiz, woh sifaak si shaam
Phir mere dasht ke haathon se kinara nikla

Teri gali mein jab Deewane aayein ge

Teri gali mein jab Deewane aayein ge
Teri gali ki khaak uraane aayein ge

Aik safar ho ga anjaan jaziroon ka
Tum ko mere khawab bulane aayein ge

Roz yeh kehna cholha jalta choor aayi hoon
Kab tum ko maqool bahane aayein ge

Jungle mein sanatey kis ne bikhraye
Jugnoo mujh ko raaz batane aayein ge

Jis ne koi beej ogaya miti se
Panchi oss ko geet sonane aayein ge

Ham ko aakhir zakhm khurachna kab aaye ga
Kab ham par aasan zamane aayein ge

Broken Heart Love Shayari in Hindi

Neyi kahani sona raha hoon
Main dar se dastak otha raha hoon

Chiragh koi naheen muyasar
So kaam dil se chala rahha hoon

Taveel raaton ki dastanein
Main rastoon ko sona raha hoon

Osse muhabbat naheen hoi thi
Yeh baat khud ko bata raha hoon

Purane qisey ulajh rahe hain
Neye bahane bana raha hoon

Woh aane wala naheen hai wapis
Jise main wapis bola raha hoon

Wednesday, October 16, 2013

Poetry About Life

Ulajta hi ulajta ja raha hai
Mera hona hi mera maslah hai

Mere mathey pe boosa sabt kar deih
Mere andar andhera ho raha hai

Teri yaadein bikharti ja rahi hain
Ke mujh mein shor barhta ja raha hai

Musalsal ho rahi hai noha khawani
Mere andar koi matam sara hai

Yahan taboot thande ho rahe hain
Yahan har waqt girya ho raha hai

Hamari bastiaan oondhi pari hain
Tumhara shehar tu acha bhala hai

Tu kion weeran ho jayein na ham tum
Hamein tu pyar bhi aadha mila hai

Tere hontoon ko choo ke dekhne ka
Erada hai magar toota hoa hai


Yahan seene mein bayein haath Kaami
Koi paoon ragarta ja raha hai

Apne dil se Agar nikal mujhe

Apne dil se Agar nikal mujhe
Tu kisi or dukh mein daal mujhe

Ya tu kar de jala ke mujh ko raakh
Ya kisi roshni mein dhaal mujhe

Mera apna badan gira mujh par
Mere malbe se abb nikal mujhe

Dekh totey hoye hain paoon mere
Apni banhoo mein le, sanbhal mujhe

Sach kaho! kia diya muhabbat ne
Tu ko be chainiaan, malal mujhe

Be sabati ne khoob shor kiya
Jab bhi aaya tera khial mujhe

Woh mere Dil se hijrat kar raha hai

Ajab mushkil muhabbat kar raha hai
Woh mere Dil se hijrat kar raha hai

Samajhta hoon main khud ko or tanha
Woh kehta hai muhabbat kar raha hai

Abhi kuch dair palkein mat jhapakna
Koi lamha ebadat kar raha hai

Tumhare pyar ka zakhmi sipahi
Muhabbat ki hifazat kar raha hai

Tumhari surmageen aankhon ka jadoo
Bapa dil par qayamat kar raha hai

Woh ek din aasman par urr sake ga
Parindoo ki jo khidmat kar raha hai

Tuesday, October 15, 2013

Tumhari Aankh se Jugnoo gira tha

Akaila tha akaila aa geya hai
Hawa ki zad pe aisa aa geya hai

Tumhari Aankh se Jugnoo gira tha
Hatheli par sitara aa geya hai

Woh mujh par saibaan kab tak banate
Parindoo ka thikana aa geya hai

Sona hai aaine ke samne phir
Koi pagal parinda aa geya hai

Tum apne dil se mujh ko mat nikalo
Mujhe sehra mein rehna aa geya hai

Koi deewar oonchi ho rahi hai
Mere aangan mein saaya aa geya hai

Tum mujhe Dard dene Aaye ho

Shaam hai dil udaas bhi hai bohat
Yeh udaasi ke raas bhi hai bohat

Tum mujhe Dard dene Aaye ho
Dard tu mere pass bhi hai bohat

Hamare dil mein Rehna naheen hai Shayad

Deewar o dar se abb tak jaley naheen hataye
Tum ne, Hamare dil mein Rehna naheen hai Shayad

Hairat se dekhti ho deewangi ko meri!
Tum ko kisi ne pehle chaha naheen hai shayad

4 Lines Shayari in Urdu

Tere taaluq ki sar zameen par main khud ko abaad kar raha hoon
Sanaye Rab e Raheem parh kar, parind azaad kar raha hoon

Mere junoo ko barhawa deti tumhari khawahish ki lau salamat
Main geet gaata hoon koh kun ka, main khud ko farhad kar raha hoon

Best Urdu Poetry of 2013

Parindoo ka thikana ho geya hai
Shajar kitna suhana ho geya hai

Koi jugnoo duwaon mein neha kar
Muhabbat ko rawana ho geya hai

Mere saare badan mein phail jao
Mera saaya purana ho geya hai

Woh ghar se roshni le kar chala tha
Jo nafrat ka nishana ho geya hai

Dhare hain taaq mein thande andhere
Diya dekhe zamana ho geya hai

Famous Poetry

Yaar kis ne sanbhal rakhe hain
Ham jo totey hoye khilone hain

Raat, saaye, chiragh, sanatey
Ham se kia kia sawaal karte hain

Yeh jo tere baghair din guzra
Ham esse raigan samajhte hain

Zindagi, zindagi ko khati hai
Dairey, darioon mein khulte hain

Barh rahe hain samandron ki taraf
Daikh darya bhi kitne piase hain

Dhoop dhalne lagi hai raste ki
Or saaye taveel hote hain

Koi or Bhi hai Urdu Poetry

Tum ne shayad theek kaha tha mujh mein koi or bhi hai
Uljha uljha, suljha suljha mujh mein koi or bhi hai

Or bhi hai koi mere andar, gehra neela, raat zadah
Gehra neela, raat ke jaisa, mujh mein koi or bhi hai

Tum ne mujhe mein dhonde panchi, khawab, khilone or bachpan
Dhoop mein jalte sehra jaisa, mujh mein koi or bhi hai

Kon hai yeh jo rook raha hai mujh mein utarne se tujh ko
Tujh mein koi or hi hai ya mujh mein koi or bhi hai

Yoon tu dikhai deta hoon main, aik muhazib aadam zadah
Zakhmi, wehshi or barhana, mujh mein koi or bhi hai

Hindi Love Sms Shayari 2013

Yeh aik dasht faqat mujh ko paar karna hai
Phir oss ke baad neye panion pe chalna hai

Yeh aik dasht ke nazaan hai apni wussat par
Esse bhi la ke yahan par kisi ne rakha hai

Yeh daftaron ke bahane, yeh bheer bhaar, yeh ham
Mujhe tu khail yeh saara ajeeb lagta hai

Main ess ko dekh tu sakta hoon, choo naheen sakta
Jo waqt samne mere guzarta jata hai

Zara si baat hai, par baat ko samajh lejiye
Hamare khawab ke bahir bhi aik dunia hai

Essi pe hashar othana hai aik din mujh ko
Yeh jo khala mein ghubara barang e neela hai

Monday, September 30, 2013

Udaas Shayari in Urdu

Rothe hoye gul ko bhi ek baar tu dekh aayein
Jate hoye gul ko bhi ek baar tu dekh aayein

Nikhre hoye gul ko tu dekha hai zamane ne
Bikhre hoye gul ko bhi ek baar tu dekh aayein

Ek phool hai khawabida jaage hoye gulshan mein
Soye hoye gul ko bhi ek baar tu dekh aayein

Aae yaar ujara hai gul chain ne chaman apna
Totey hoye gul ko bhi ek baar tu dekh aayein

Haans haans ke tu dekha hai ek umar se phoolon ko
Rote hoye gul ko bhi ek baar tu dekh aayein

Main khawab ho kar na Toot jaoon


Woh kaash aa kar bikharti dharkan pe haath rakh kar sanbhale mujh ko
Main khawab ho kar na Toot jaoon, woh apni aankhon mein dhale mujh ko

Main chahaton ki siraab mein hoon, ghamoo ke kale hijaab mein hoon
Or apni aankhon se sab umeedein nikal kar bhi azaab mein hoon

Ajeeb wehshat hai zulmatoo ki ke hosh mein badhawas mein hoon
Jise muyasar na jism aaya woh lapata sa libaas mein hoon

Main jitni bhi maang loon duawein haan jitne bhi istikhare kar loon
Main jaanta hoon na mil sake ga tu kion main aankhon mein khawab bhar loon

Ek oss ki chahat mein, main tu Shahbaz apni hasti bhi kho chuka hoon
Mera tu kuch bhi naheen hai baqi sirapa oss ka main ho chuka hoon

Aashna Dard se hona tha

Aashna Dard se hona tha, kisi toor hamein

Tu na mila hota, tu kisi or se bichare hotey

Main ne Raat ek khawab buna Tha

Main ne Raat ek khawab buna Tha
Ek mudat ke baad buna tha
Jeevan ki ess rah pe tanha
Main ne dekha door ek taara
Chahat kar pur noor sitara
Or main oss ke haath ko thamey
Sundar tanha raat ko thamey
Jab main oss ko chone chali thi
Oss raste par chal nikli thi
Andhiare mein thokar kha kar
Neend se meri aankh khuli tu
Main ne khud ko tanha paya
Main thi or tha mera sayaa
Woh taara tu door bohat tha
Woh bhi tu majboor bohat tha
Neend se meri aankh khuli tu
Sundar sapna toot geya tha
Haath se taara choot geya tha

Wafa ko Khawabon ka Naam daih do

Tumhein meri baat yaad ho gee
K main ne tum se yehi kaha tha
Wafa ko Khawabon ka Naam daih do
Faqat ghulaboon ka naam daih do
Mita do meri muhabbaton ko, bhula do meri muhabbaton ko
Bhula do saare khial woh jo
Kabhi hamari udaas aankhon mein
Khawab ban kar utar rahe they
Udaas aankhon ke rutjagoo se guzar rahe they
Magar meri baat tum na maney
Tu aaj dekho
Tumhari aankhon mein kitne sadmaat pal rahe hain
Tumhari aankhon mein kitne naghmat jal rahe hain
Yeh rah tum ne pasand ki thi
Tu aaj gumnaam manziloon ka pata bhi tum ko batana ho ga
Yeh dil kaheen pe lagana ho ga
Huzoor! ham ko bhulana ho ga

Sunday, September 29, 2013

Ek nazar aae Khuda hatheli par

So geyi hai dua hatheli par
Ek nazar aae Khuda hatheli par

Woh bhi taqdeer se gurezan thi
Main bhi takta raha hatheli par

De geya umar bhar ke andhiare
Aik bujhta diya hatheli par

Keh geya kitni an kahi baatein
Phool rakha hoa hatheli par

Kho geya mukhtalif lakiroon mein
Jab bhi aansoo gira hatheli par

Zindagi ke zaeef lamhoon ko
Yoon na saathi saja hatheli par

Dekh tanveer apni aankhon se
Apne Rab ki Ataa hatheli par

Saturday, September 28, 2013

Hijar mein Khoon rulate ho

Hijar mein Khoon rulate ho, kahan hote ho?
Laut kar kion naheen aate ho, kahan hote ho?

Jab bhi milta hai koi shaks baharoon jaisa
Mujh ko tum kaise bhulate ho kahan hote ho?

Yaad aati hain akaile mein tumhari neendein
Kis tarhan khud ko sulate ho kahan hote ho?

Mujh se bichre ho tu mehboob e nazar ho kis ke
Aaj kal kis ko manate ho kahan hote ho?

Shab ki tanhai mein aksar yeh khial aata hai
Apne dukh kis ko sonate ho kahan hote ho?

Mausam e gul mein nasha hijar ka barh jata hai
Mere sab hosh churate ho kahan hote ho?

Sard raaton mein tumhein kaise bhula sakta hoon
Aag si dil mein lagate ho kahan hote ho?

Tum tu khushboo ki rafaqat ke liye bichre they
Abb agar ashk bahate ho kahan hote ho?

Shehar ke log bhi Wasiq yehi karte hain sawaal
Abb bohat kam nazar aate ho kahan hote ho?

Friday, September 27, 2013

Apne dil ko Ujalna tha

Tumhari aankhon ki kehkashaon mein
Apne dil ko Ujalna tha
Wisaal rut ke hinai mausam mein
Ess badan ko jamalna tha
Or apni khawahish ko pa bajolan
Tumhari khawahish mein dhalna tha
Abhi tu main ne
Yaqeen ka mausam sanbhalna tha
Tumhare lafzoon ki roshni mein
Khial apna khialna tha
Abhi tu main ne
Khush aitabari ke rastoon par bhi
Apne qadmoo ko dalna tha
Tumhare haathon mein haath de kar
Naye jahan ko wisalna tha
Abhi tu main ne .........

Tum meri Aakhri Muhabbat ho

Read Beautiful Urdu Shayari about muhabbat (Love). You will really like this fabulous and awesome shayari in urdu.

Zindagi bhar main ek safar mein raha
Khawahishon ke haseen nagar mein raha
Main ne mana ke tere dhoke mein
Mahjabinoo ko main ne chaha hai
Haan magar onn haseen chehroon mein
Umar bhar tera aaks dhonda hai
Or meri koi talab hi naheen
Bus tmhari mujhe zaroorat hai
Tum se mil kar mujhe hoa aihsaas
Zindagi kitni khoobsurat hai
Husn jitna bhi hai jahan bhi hai
Mujh ko sab kuch fareb lagta hai
Mujh ko sab kuch fazool lagta hai
Tere qadmoo ki dhool lagta hai
Meri aankhon se gar koi dekhe
Jaan e jaan tum hi khoobsurat ho
Thi tumhari hi bus talash mujhe
Tum meri jaan pehli chahat ho
Tum meri Aakhri Muhabbat ho

Thursday, September 26, 2013

Ishq hai Afat o Bala tu naheen

Ishq hai Afat o Bala tu naheen
Ess ka maraa koi jiya tu naheen

Poochta kia hai haal dil ka mere
O mian tujh se kuch chupa tu naheen

Tu jo oss ki gali mein jata hai
Kaheen aae dil teri fiza tu naheen

Yeni aashiq ho or harjaee
Abb talak ham ne yeh sona tu naheen

Yoon jo tu monh phailaye baitha hai
Kion mian mujh se kuch khafa tu naheen

Batt par oss ki main jo bola kia
Kaha kuch zikar aap ka tu naheen

Kis tarhan sajda kejiye oss ko
Hai woh but, but hi kuch Khuda tu naheen

Dard ke Silsile tum ne Dekhe naheen

Dard ke Silsile tum ne Dekhe naheen
Meri jaan rutjage tum ne dekhe naheen

Tum ne dekhe hain phoolon bhare rastey
Jin pe bus khaar they tum ne dekhe naheen

Jitne aansoo tumhare liye they woh sab
Beh geye aankh se tum ne dekhe naheen

Ek tumhare na hone se guzre hain jo
Shehar mein sanihe tum ne dekhe naheen

Din mein zulm o sitam jo hoye so hoye
Shab mein kia kia hoye tum ne dekhe naheen

Tum ne shakhoon par patoon ko dekha sadaa
Shaakh se toottey tum ne dekhe naheen

Choor jao ge phir bhi jiye jayein ge
Hosle Meer ke tum ne dekhe naheen

Tuesday, September 24, 2013

Meri Qismat chupa rakhi Hia

Bohat hi chanchal ho tum

Ke muthi ko band kar ke yeh poochti ho

Main maan jaoon agar bata doo

Ke meri muthi mein kia chupa hai

Mujhe tu maloom hai haqeeqat

Magar main mehfil mein kaise keh doon

Ke tum ne apni haseen muthi mein

Meri Qismat chupa rakhi Hia
 

©2012-2013 Hindi Shayari